Experience होने के बाद भी सैलरी नहीं बढ़ रही

Engineer ya Design ki Salary kyu Nahi Badhti hai ek time ke baad jab 5-6 saal se jyada ka experience ho jata hai to kaam badhta rehta hai but salary utni ki utni hi rehti hai.

Aap iss article ko padh rahe hain to jarur aap bhi is problem se gujar rahe honge, magar samazh nahi aata hoga ki career me growth pane ke liye kya karen, to aaj ke is article me hum is problem ka root cause find krke iska solution batayenge.

India me hamne bite kuch decades me dekha hai ki jis time pe jiska trend hota hai to uski ki demand rehti hai aur log bhi uski ke peeche bhagte hai, jese ki abhi ke time computer science aur IT me job ki trend ho rahi hai aur companies me bhi isi feild ke logo ki demand jyada hai aur 2-3 year wale log 7-8 lakhs se upar ka package le rahe hai aur achi MNC companies unko offer de rhi hain.

Jabki agar hum civil, mechanical aur electrical engineering or design engineering field ke logo ki baat kren to unko high package to dure ki baat hai job bhi bahot kamm companies me nikal rahi hain. Aur ese me lagta hai ki kash CS ya IT se koi course krke acchi job paa liye hote.

Reason behind less job in Mechanical/ Civil/ Electrical Engineering/ Design Engineering

Ab hame ye samzhna hoga ki core engineering me jobs itni kamm kyu nikal rahin hain. To jesa ki hum aaj ke jamane me har cheez me degitization dekh rahe hain aur jo kaam pehle mannual hota tha usme automation era aagya hai jiswajah se mannual work khatam hote jaa raha hai. Aur mechanical civil aur electrical field ka kaam mostly mechanical hi hota hai but automation aur digitization hone ki wajah se is field me ab bahot kamm job post nikal rahi hain.

Which types of Job coming for Mechanical/ Civil/ Electrical Engineering/ Design Engineering?

Abb baat aati hai ki market me digitation aane ke baad se kis type ki jobs nikal rahi hain Mechanical/ Civil/ Electrical Engineering/ Design Engineering me. Aaj kal har ek company me ek engineer se multiple skill wale work krwati hai aur use na kewal uski field ka kaam aana chaiye balki uski field se related baki ke kaam bhi aane chahiye.

Aur aaj ke time mostly har koi apne core domain me expert hota hai jis wajah se baki aur field ya dusre domain ki knowledge ya usse related koi dusri skill hi hoti aur fir interview ke time job milna bahot mushkil ho jata hai.

Ab baat krte hai ki agar market me Mechanical/ Civil/ Electrical Engineering/ Design Engineering ke logo ko acchi salary wali job pani hai ko unke pass kon kon se new skills aur knowledge hone chahiye.

Special Skill Required for Mechanical/Design Engineering

Agar aap mechanical engineering se hai ya mechanical design engineering se to aapko kewal CAD software ya simulation software ki knowledge se aab kaam nahi banega, ab apko iske alawa bhi bahot se knowledge and skill ki jarurat padegi agar aap ek acchi salary pana chahate hain to.

Special Skill for Mechanical/ Design Engineer

  • DFMEA
  • APQP
  • PPAP
  • VAVE Tool
  • ISO Standards
  • Basic of Sheetmetal domain, Plastic domain, Mould design
  • Automotive component design Knowledge
  • Basics of BIW,
  • Strong Knowledge of fabrication, forming, machining and heat treatment process
  • Strong knowledge of standard materials used for sheetmetal, plastic, die casting, BIW domain,
  • Basic of HVAC, piping design
  • GD&T
  • M.S Office tools
  • Vendor development skill,
  • Exposure in market to understand value of product and its cost,
  • Preparation of final BOM BOQ

Special Skill Required for Civil/Design Engineering

  • Multiple CAD software like AutoCAD, Staad pro, Revit
  • Advance CAD Skill like SP3D / PDS / PDMS / Microstation 
  • Create reports indicating alterations to be made to structural sketches & RCC
  • Prepare structural plans
  • Connection details
  • Suggest changes to existing designs
  • Revit MEP | MX road | ProSteel | RCC Detailing | Microsoft Project | PPM | Primevera
  •  CDE tools project wise/O 365/share point
  • Basic of BIM standards , routines , processes

Special Skill Required for Electrical /Design Engineering

  • CAD and BIM standards , routines , processes
  • CAD software like AutoCAD, Etab,
  •  Electrical Circuit Design using Auto CAD 
  • Panel and its type knowledge and designing
  • Electrical Drawing of LT panel, HT panel, RMU and other MV products.
  • Preparation of final BOM BOQ as per the sign off drawings 
  • Switchgear, electrical devices design skills,
  • equipment layout drawings, BOM, three-line diagrams, section views
  • Familiar with international technical standards (IEC) 
  • Awareness of QMS/EMS Policies and standards.
  • Assess all engineering prototypes to determine issues or risks.
  • Estimate cost limits and budgets for new designs.
  • Supervise the manufacturing process of all designs.
  • Coordinate with other engineers and department.

Leave a Reply

Your email address will not be published.