Ai-machine-learning-for-mechanical-engineer-product-design-engineer

Kya design engineer ko Artificially Intelligence ya Machine Learning krna se Benefit hai?

Doston aaj ke Samay ham log Har Jagah artificial intelligence aur machinon ke bare mein sun rahe hain aur Aisa Bhi sunte Hain ki Bhavishya Mein iska scope bahut jyada hai aur Aane Wale Samay Mein artificial intelligence aur machine learning ka hi future hoga. To kya is takniki ka upyog ek mechanical design engineer ke life mein bhi ho sakta hai kya aapko yah karna chahie aur kya aapko AI ya machine learning sikhane se future mein Kitni possibility Hai Ek acchi salary ki job lagne ki, to ine sab Baton ko is video mein ham Charcha Karenge aur aapko samajh mein a Jaega is video ke and tak ki kya aapko machine learning artificial intelligence Ek mechanical design engineer ko karna chahie ya nahin.


Artificial intelligence ka ek mechanical design engineer carrier per kya Asar hone wala hai Iske bare mein janne se pahle Hamen sabse pahle yah Janna Hoga Ki artificial intelligence aur machine learning Hota kya hai aur kis tarike se yah work karta hai aur is ko sikhane ke liye aapko क्या-क्या chijen janne ki jarurat hai aur isko sikhane ke bad Bhavishya mein kya aapke liye scope Rahega.

AI ya Machine Learning kya hota hai? What is AI & Machine Learning

Aaj ki digital Jamane mein Har Kuchh automation aur Robotics ki taraf Technology badh rahi hai Hamare Day to day life mein Sab Kuchh machino ke dwara automatic Mod per Hone Laga Hai Chahe vah Hamare ghar ke TV Fridge AC se ho ya fir online grocery mangwane ka koi process ho sab Kuchh automatic Hote ja raha hai aur isi chij ko Dekhte hue science Ne Ek Naya Kadam Liya Hai Jo aaj ke time mein artificial intelligence aur machine learning ke naam se Jana ja raha hai Jiske andar ham insani dimag ko Samajh Ke Logon ke jaruraton ko Samajh Ke aur unke Pichhle records aur Unki aadaton Ko Dekhkar computer coding ke dwara language ki madad se Kuchh tools Banakar unko machinon ke dwara sanchalit Karke artificial intelligence ka use Kiya Jaane Laga Hai Jisse manual aur mechanical work ko धीरे-धीरे automatic aur self Mod per Laya ja raha hai.

AI in simple Words

Agar Sidhi bhasha mein kahen to Jo kam aap manually mechanical work aap karte ho vah sab computer ke dwara sanchalit Karke Kiya Jaega Chahe aap ghar per Kuchh Saman mangwana ho ya aapko Kuchh khane ki chijen Pasand ho ya fir aapko apni company mein ya manufacturing industry Se Lekar service aur supply chain industry Tak Sab Kuchh automatic Mod per karne ki takniki artificial intelligence ke dwara viksit ki ja rahi hai. 
Agar aapko abhi bhi Itna janne ke bad Nahin samajh mein a raha hai to Ek Aur Sadharan bhasha mein aap yah samajh sakte hain ki pahle insani jaruraton ko Samajh Ke computer ki madad Se Koi application ya program design Kiya jata tha Uske hisab se machine Banai jaati thi Magar ab insani jarurat ke alava insani aadaton unke Rahan Sahan aur Unki ichchaon ko Samajh Ke Unki Buddhi kshamta ko Samajh Ke ab application, tools aur machinen design Ki Jaane Lagi Hai jisse kam se kam logon ka hastkshep Rahe aur aapka kam aasani se ho Jaya Karen.

Which type of core skills include in AI

Vaise to artificial intelligence Ek bahut bada course Mana Jata Hai Jiske andar bahut Sare core skills include hote hain jaise C++ programming language, Java, data structure and algorithm, district mathematics and applied mathematics, environmental studies, human resource and rights programming, patterns for Zee logic and natural networks design and analysis of algorithms, project embedded systems, natural language processing, deep learning & data analytics technique.


Kuchh aise hi major core skills aapko artificial intelligence aur machine learning course ke andar sikhane hote hain aur inhin sab chijon ka use Karke aap Kuchh Aise tools application ya software design karte hain Jiske badaulat aap human life problems ya machines ke problems ko solve Karte Hain.

What is the involvement of Mechanical Design Engineer in AI and Machine learning?

Aap artificial intelligence aur machine learning ke naam se hi Aisa imagine kar rahe Honge ki yah to Keval computer science ya information technology se related Logon Ke Liye course hai jo Keval coding aur software ka use karte hain. lekin Aisa bilkul Nahin Hai yah Ek Aisa platform Hai Jiske through aap Is Duniya ke kisi bhi field ko interact kar sakte hain aur use area ke kam ko Aasan banaa sakte hain.    

Jaisa ki agar Ham mechanical design engineering ya mechanical engineering Ki Baat karen to  mechanical manufacturing ya design ka koi process aap artificial intelligence ke through usko fully automatic Mod per kar sakte ho aur isase aap company ke bahut Sare paise bacha sakte ho aur isase error ke chances aur manufacturing ya design fault ke cost ko aap bahut had Tak kam kar sakte ho aur Market ki demand ko bahut jyada Badha sakte ho.

For example ke liye Baat karen to agar aap mechanical manufacturing process mein sheet metal ka koi operation karte ho to aap is process ko karne ke liye artificial intelligence ka use kar sakte aur vah kis tarike se to doston uske liye aap ek proper coding ke dwara aap Ek tool design karo jo ki ek software ka use Karke  aap usko automation Mod per La sakte ho aur aapka Sara process automatic Rahega.

 yah to Rahe manufacturing process Ki Baat aur ham designing process Ki Baat karen to sabse Jyada mechanical design mein artificial intelligence ka use ho sakta hai. Jaise aap Koi product design karte ho to uske andar design ko karne ke process aap regular follow karte ho uske liye aapko manually designs aapko process karna padta hai Jaise aap product designing Mein Koi product design karte ho Kisi software per to uski 2D design karte hue dimension karte ho, tolerance dete ho FIR uski design karte ho.
To yah sab aapko manually sara kam Karna padta hai, lekin agar aap artificial intelligence ka use karte ho designing ke work ke liye to aap Kuchh Aise tool Banakar coding ki help se aap vah Sare manual process ko aap automatic Mod per kar sakte ho bus aapki requirement uske andar feed karni padegi aur aapka design prepare ho jaega.
Kuchh is tarike se aap product ke stress, strain analysis Ka bhi Kaam kar sakte ho, Jaise Unka simulation karna ho to aapko Har EK product ka manual operation karna padta hai Jiske andar aapko बार-बार testing karni padati hai, software simulation ka work automatic Mod per kar sakte ho Jaise aapko बार-बार mehnat karne ki jarurat nahin padati hai aur aap company ke product quality improve kar sakte ho.

Career scope

Baat karte carrier scope ki to Ek Mechanical Engineer ya mechanical design engineer ko artificial intelligence Mein career Banane se bahut Achcha success mil sakta hai. Kyunki Aane Wala Samay me har chiz automation per hone wala hai to aapko yah sikhane se ek acchi salary wali job ke chances bahut jyada badh Jaate Hain Kyunki धीरे-धीरे companiyan manual work ko automation work per ja rahi hai to aapko bhi transformation karne ki jarurat hai aapane life mein, halanki yah process Itna jaldi Nahin Hoga lekin agar aap khud ko prepare Shuru se Karoge To carrier me success Pa sakte ho aap.

Iske negative impact kya honge

Doston Jab time ke sath Technology ka growth hota hai To usse Kuchh acchi chijon ke साथ-साथ Kuchh negative impact Bhi ate Hai. Har Kisi Ke life mein padta hai jo isase Jude Hue hote hain to iska sabse bada negative impact yah Hai Ki Aane Wale time mein man power bahut kam ho jaega.Magar aap apne skill ko pehle se updated rakhge to iska impace skilled engineeres pe bahot kamm padega. Aur bhale ye ho sakta ho ki future me mechanical engineering ki degree me coding classes bhi add hone lagenge jisse ki student life me hi engineers ko AI ya machine learning se related knowlwdge mil sake.

Leave a Reply

Your email address will not be published.